widget

Tuesday 12 November 2013

Teray khayal, Teray khuwab Aur teri mohabbat


Teray khayal, Teray khuwab Aur teri 
mohabbat,Zuban pay ghazal,

Hathon main kitab Aur teri mohabbat
Gumnam alfaz,Talkh sawalaat, benaam 
tehrirain,
Adhoray jawabat,Aur teri mohabbat

Thandi sehar, sard hawainUrhtay badal, 
taiz ghtain Aur teri mohabbat

Halki dhoop, sohana mosam Bheegay 
pair, shafaf aasman Aur teri mohabbat

Teri baatain, tanha raatain Kabhi hijr, 
kabhi mulaqatain Aur teri mohabbat

Dar o baam, dhalti sham Kitab qalam, 
tera naam Aur teri mohabbat

Phool titli, bhaag o bahaar Gaata darya,
jhoomti lehrain Aur teri mohabbat

Chamakta chand, jagmag taaray Awara 
jugnu, bheeghi shabnam Aur teri mohabbat

Jaltay chiragh, urhta dhua’an Tera intizar, 
wasl ka samaan Aur teri mohabbat

Chupta suraj, halki barsaat Dhanak k rang, 
tera saath Aur teri mohabbat

Sarhaanay takya, bikhra bistar Bechain
karwatain, raat ka pehar Aur teri mohabbat…


No comments:

Post a Comment