widget

Wednesday 27 August 2014

Kabhi shakiston kay dukh uthaye to us say poochon


Kabhi shakiston kay dukh 
uthaye to us say poochon
wo meri manind toot jaye 
to us say poochon

Koi sitara usay bhi manzil 
say dur kar day
usay bhi rasta nazar na aaye 
to us say poochon

Safar main wo bhi kisi kade 
imtihan say guzray
usay bhi yun koi aazmaye to 
us say poochon

Usay muhabbat main kaun 
sa dukh diya hai main nay
Kabhi nazar se nazar milaye 
to usay poochon

meri tarah din chadhe talak 
wo bhi soye Zalim
usay bhi shab bhar na neend 
aaye to us say poochon...


No comments:

Post a Comment