widget

Thursday, 1 May 2014

Dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak


Dafn seene meN rakheN wasl 
ke armaaN kab tak
aatish e hijr jalayegi miri jaan 
kab tak

tangi e zeest ka ho jaye use 
kaash ahsaas
ghaflat e yaar kahaN tak shab'e 
hijraaN kab tak

aaeenah bandi e dil kaGHzi gul 
se kijaaye
aik seHraa meN tamanna e 
gulistaaN kab tak

aoj per aaj he tuGHyani e beHr'e 
jazbaat
aik kooze meN daba rakkhenge 
toofaaN kab tak

her ghaRi dil pay diye jaate heN 
dastak aalaam
bin bulaye chale aayenge yeh 
mehmaaN kab tak

ab woh KHamosh he , tha shab 
meN shareek e maatam
saath deta mira aaKHir dil'e 
naalaaN kab tak

daafa e naar e shikam Arq'e 
badan he jiska
pet per bandhega patthar wahi
 dehqaaN kab tak

le liya qatl ka ilzaam hameeN 
ne sar per husn ko dekhte ab 
aur paraishaaN kab tak

jo nah milti hameN GHurbat 
meN husaini manzil
koo ba koo phirte younhi be 
sar'o saamaaN kab tak...

No comments:

Post a Comment