Hum ko to gardish-e-Halaat
pe rona aaya
Rone wale, tujhay kis baat
pe rona aaya
Jee nahi, ap se kya hum ko
shikayat hogi
Haan mujhay talkhi-e-halaat
pe rona aaya
Kitne betaab the rim jhim
main piyenge lakin
Aaye barsaat, to barsaat pe
rona aaya
Husn ne apni jafa pe bahaye
aanso
Ishq ko apni shikayaat pe
rona aaya
Kitne anjaan hain k saadgi
se pochte hain
Kahiye! Kya mere kisi baat
pe rona aaya
Aw’wal aw’wal to ik aah nikal
jaati thi
Aakhir aakhir to mulakaat
pe rona aaya
“Saif” ye din to qayamat ki
tarah guzra hai
Jane kya baat thi, har baat
pe rona aaya...
No comments:
Post a Comment