Idher dua ki sama’aton ka
riwayati asmaan bhi chup
Idher sisakte hue labon ka
barhana, tarz-e-bayaan bhi
chup
Na jaane kin khuwahishon
ki shiddat ka shor kamre
main gonjta tha
Na jaane kya keh gaye hawa,
hogaya khali makaan bhi chup
Naye ruton ne hawa ki ru se
na jaane kya saaz baaz karli
K sabz sadiyun se goonjti arahi
nida-e-azaan bhi chup
Kahin koi sar phiri nida parda
samaat bhi noch dale
Magar kahin dasht-e-samaat se
ehtajaji zubaan bhi chup
Pukarta tha panah le le koi bhi
saye main mere “Aazar”
Thi dhoop aise hamare sar pe k
hogaya sayebaan bhi chup...
No comments:
Post a Comment