Kathan andheron ki rah-guzar
pe chragh-e-subah jala jala ke.
Qasm se aankhain bhi thak gai
hain tumhare aansu chupa
chupa ke.
Kya khabr thi ke ek chehre se
kitne chehre kasheed honge.
Main thak gaya hoon tumhare
chehron ko aaine mein saja saja
ke.
Hum itne saada mizaj kab thay
mgar sarabon ki rah-guzar pe.
Faraib deta raha zamana
tumhari surat dikha dikha ke.
Ajab tanasub se zehn-o-dil mein
khyal taqsem ho rahe hain.
Mjhe mohabt si ho gai he
tumhain mohabt sikha sikha ke...
No comments:
Post a Comment