Tamam shab yunhi dekhaingi
soo e dar ankhain
tujhe ganva k na soyen gi umr
bhar ankhain
tulo e subah se pehley hi bujh
na jayen kahin !
yeh dasht e shab mein sitaron
ki humsafar ankhain
sitam yeh kam to nahi dil
giraftagi k liye !
main shehar bhar mein akaila,
idher udher ankhain
shumar uski sakhafat ka kia
karain k vo shakhs
chiraag baant'ta phirta hai
cheen kar ankhain
voh paas tha to zamaney ko
dekhti hi na thein
bicher geya to hoyeen phir se
darbadar ankhain
abi kahan tuje pehchan'ney
ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain
beykhaber ankhain
main apney ashak bacha
luunga kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to
sheeshagar ankhain..
No comments:
Post a Comment