widget

Wednesday, 12 June 2013

Tum Ne Hi Majboor Kiya Hai



Tum Ne Hi Majboor Kiya Hai

Mujh Ko Raah Badalney Par
Jeewan K Be'Ant Safar Mein
Ghair Ka Ho Kar Chalney Par


Main Ne Tumhari Aashaaon ka

Har Har Roop Saraaha Tha
Main Ne Apna Aap Bhula Kar
Tum Ko Toot Ke Chaha Tha


Um'r Ki Ujli Deewaron Par

Qismat Ka Andhyaara Tha
Aur Bohat They Sooraj Lekin
Tum Sa Charaagh Hi Pyaara Tha


Laikin Tum Hi Merey Maseeha

Nafrat K Saanchey Mein Dhal Kar
Ik Din Merey Saamney Aa Gaye
Qaatil Ka Behroop Badal Kar


Ab kya Shikwa, Kaisi Shikaayet

Chaahat K Sab Rishtey Kachey
Main Bhi Aur Tum Bhi Harjaaii
Main bhi Theek Aur Tum Bhi Sachey..



Ab uss say bhi yehe kahay ga



Ab uss say bhi yehe kahay ga 

bichartay lamhon me
uss nay mujh say kaha tha dekho 
hamare rahain juda juda hain


Magar hamain aik dosray ka 

khayal rakhna hai 
zindagi bhar kisi bhi lamha 
udasyon ki faseel hayal 

na honay dena hawa k hathon pe 
likhtay rehna judaiyon k tamam 
qissay Qadam Qadam pe jo paish 
ayn wo sanahay bhi nazar me 
rakhna 

Me jab bhi lauta to apnay 
honton ki tazgi ko tumhare risti hui 
ankhon me laa rakhonga Jo mere 
apni hain, sirf mere bichartay 
lamhon main uss nay mujh say na 
janay kia kuch kaha suna tha


Aur ab uss say bhi yehe kahay ga wo

 jiss k hathon me hath dalay nayay 
safar pe nikal para hai...



Dhondhta phr raha hon jahan dar jahan



Dhondhta phr raha hon jahan 

dar jahan dosra Aasman hy 
kahan,,,? hy kahan,,,?

Dosra Aasman be amaan phir 
rahay hein dilasay kai sahilon pe 
bhi rehtay hein piyaasay kai


ik yaqeen kr aqab mein hein 

laakhon gumaan dosra aasman 
phool ki aankh mein bheyd 
shabnam ka hy zindagi aik dheyr 
resham ka hy


kholtay kholtay thak gaien ungliyan

dosra aasman koi manzil hy apni na 
koi hadaf Dhop si waswason ki hy 
chaaron taraf


Dor tak koi badil hy na saeyban 

dosra Aasman hy kahan,,hy kahan,,,??




Ek Din Baaton Hi Baaton Mein Uss Ne


Ek Din'''''' Baaton Hi Baaton 
Mein Uss Ne Chand 

Lamhay Mujhay BaGhor Dekhtay 
Hue Kaha

" Tumharii Aankhein Bohat Achi 
Hain "Jab Tum 
Roye Hue Hotay Ho To Soojhi 
Soojhi Si Bojhal 
Aankhein Bohat Achi Lagti 
Hain

Aur Uss Din Pehli Baar Main Ne 
Tanhayii Mein 
BaGhor Apni Aankhein Dekhi Yun 
Laga Kisi Ne 
Qareeb Se Sargoshi Ki Ho

" Tumharii Aankhein Bohat 
Achi Hain "
Aur Main Yeh Soch Kar Dheema
 Sa Muskura Diya k
Jis Ki Khushii Aur Ana Mujhay 
Apni Zaat Ki Tarah 
Aziiz Hay''

Uss Mehruban Ko Agar Mera 
Kuch Aziiz Hay To 
Faqat Merii Aankhein Aur wo 
bhi Royii Huii...!!!



Tumehin Jab Kabhi Milein Fursatein


Tumehin Jab Kabhi Milein Fursatein, Merey Dil Se 
Bojh Se Utaar Do
Main Bohat Dinon Se Udaas Hoon, Mujhey Koi Shaam Udhaar Do

Mujhey Apney Roop ki Dhoop Do K Chamak Sakein 
Merey Khaal-o-Khad Mujhey Apney Rang Mein Rang 
Do, Merey Saarey Zang Utaar do

Kisi Aur Ko Merey Haal Se Na Gharaz Hai Koi Na Waasta
Main Bikhar Gaya Hoon Samet Lo, Main BigaR Gaya 
hoon Sanwaar Do

Meri Wehshaton Ko BaRha Diya Hai Judaaiyon Ke Azaab 
Ne Merey Dil Pe Haath Rakho Zara, Meri DhaRkanon Ko Qaraar Do

Tumhein Subah Kaisi lagi Kaho, Merey Khwahishon K Dayaar Ki Jo Bhali lagi To Yaheen Raho, Issey Chahaton 
Se Nikhaar Do

Wahan Ghar Mein Kon Hai Muntazir K Fik'r Ho Dair 
Sawair Ki BaRi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Issi Chandni 
Mein Guzaar Do

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shaakhsaar Ki Ot Mein
Mujhey Raastey Mein Yaheen Kaheen Kisi Kunj-e-Gull 
Mein Utaar Do...


Dukhoun Ki Shiddatien Zakhmon Ki Gehraii Mujhey Dey Do



Dukhoun Ki Shiddatien Zakhmon 

Ki Gehraii Mujhey Dey Do
Maseeha Tum Sahii Azn E 
Maseehaii Mujhey Dey Do


Tum Apni Zaat Mein Khud Anjuman 

Ho Tum Ko Kya Gham Hai
Main Tanha Hoon Ye Zouq E Bazm 
Aaraii Mujhey Dey 

Do Tum Apney Dil Key Darwazey
Muqaffal Shouq Sey 


Kar Lo Bas Apni Zaat Sey Azn E 

Shanasaii Mujhey Dey 
Do Tumharey Baad Har Manzar 
Mujhey Be'Rung Lagta Hai

Ye Aankhien Cheen Lo Ya Apni 
Beenaii Mujhey Dey Do


Main Sanson Mein Samo Loon 

Ga Tumharii Har Amanat 
Ko Ye Wehshat-Naak Sannaatey 
Ye TANHAII Mujhey Dey Do


Meri Shohrat Tumhaarey Kaam Aa 

Jaye To Haazir Hai
Tumhien Dunya Ne Bakhshii Hai 
Jo Ruswaai Mujhey Dey Do


Main Shayar Hoon Meray Be-Kaif 

Be-Taseer Lafzon Ko
Amar Kar Do Tum Apney Ghum Kii 
Ra’anaii Mujhey Dey Do,,



Aa merey dil merey gham'khuwaar kahein aur chalain


BheeR hai bar'sar e bazaar kahein 
aur chalain Aa merey dil merey 
gham'khuwaar kahein aur chalain


Koi khiRki nahi khulti kisi 

baagheechay mein
Sans lena bhi hai dushwaar kahein 
aur chalain


Tu bhi maghmoon hai mein bhi 

hoon bhout afsurda
Dono is dukh say hain do'chaar 
kahein aur chalain


Dhondtay hain koi sar'sabz 

khushada si fiza Waq't ki dund kr 
us paar kahein aur chalain


Ye ju phoolon say bhara shehar

howa karta tha Is ke manzer hain 
dil'azaar kahein aur chalain


Aisay hangama e mehsher mein 

tu damm ghutta hai
Baaatain kuch karni hain is baar 
kahein aur chalain..



Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana




Meri raaton ki raahat din ka 

itme'anan ley jaana
Tumharay kaam aa jaaye ga,
Ye samaan ley jaana


Tumharay baad kia rakhna 

anaa say waasta koi?
Tum apnay sath mera um'r bhar 
ka maan ley jaana


Shikasta k kuch raizay phaRay 

hain farsh per, Chun lo
Ager tum joR saktay ho to ye 
ghuldaan ley jaana


Udhar almariyon mein chand 

oraaq e pershaan hain
Merey ye baaqi'manda khwaab 
meri jaan ley jaana


Tumhain aisay to khali hath 

rukhsat kar nahi saktay
Puraani dosti hai is ki kuch 
pehchaan ley jaana


Irada kar liya hai tum ne ghar 

sach much bichaRnay ka
To phir apnay ye saaray waada o 
pimaan ley jaana


Ager thoRi bohat hai shairy say 

un ko dil'chaspi
To un k saamnay tum mera ye 
deewan ley jaana..





Phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli



Phir us k baad kitni dair taak maiN 

kuch nahi boli
MaiN kahti teri chahat ki fiza maiN 
punkh bharooN kesay


Wo bola k bichri huwei koonj k 

tootey huwey par se
MaiN kahti thei samandar maiN 
khushi k kis tarha utrooN


kaha be-aa’b mahi ka sa paira’haN 

pahan dekho maiN kahti thei chalo 
itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey
 ghi


Wo bola khawab-e-zeest ki teray 

taa’beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai 
k meray khawab 
jhoothey they


Wo bola haaN yehi tey hai teray

 lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara’bi hum they 
ya ye dunia he dhooka thei


Wo bola baat hai itni tumhari 

payaa’s zaida thei maiN kahti 
payaas asi hai k dar’yaa khud 
pukaa’ray gha


Wo bola haar jaa’oo ghi suno 

waa’pis palat jaa’oo
maiN kahti thei meray baad tum 
tanhaa na rah jaa’oo


Wo bola halqa-e-yaaraa’N bohat 

hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN 
hai ye dukh jaaN lay jaa’ey

wo kahta tha tumhaiN kitna hai 
dukh maiN aazmaa’oN 
gha maiN kahti thei kaho itna 
kahaN taak aazmaa’o gay’


Wo bola bus wahaN taak , jab 

tum apni jaa’N se jaa’oo gay’
phir us k baad kitni dair taak 
maiN kuch nahi boli..

SOCHTA HON BUHAT SADA-O-MASOOM HAI WOH


Sochta hon k buhat sad-o-masoom 
hai woh Main abhi uss ko
shanasa-e-mohabbat na karon

Rooh ko iss ki aseer-e-ghum-e-ulfat 

na karon uss ko ruswa na karon 
waqf-e-museebat na karon

Sochta hon k abhi ranj say azad 

hai woh waqif-e
Dard nahi kho gar-e-alaam nahi

Sehr-e-aish main usski asr-e-shaam nahi zindagi 

uss k lye zeher bhara jaam nahi 
sochta hon k 

Mohabbat hai jawani ki khizaan 
uss nay dekha nahi 

Dunya main baharon k siwa 

nikhat-o-noor say labreiz
baharon ki tarah sabz zaron k siwa 
Aur sitaron k siwa

Sochta hon k ghum-e-dil na sunaon ussko samnay uss 

k kabhi raaz ko uryaan na karon 
khalish-e-dil say ussay
dast-o-girebaan na karon

Uss kay jazbaat ko main shola 

badaman na karon
sochta hon jala degi mohabbat 
ussko wo mohabbat 
ki bhala taab kaha layegi

Khud to wo atish-e-jazbaat main 

jal jayegi aur dunya ko iss ajnaam 
say tarpaye gi..

SOCHTA HON BUHAT SADA-O-

MASOOM HAI WOH,,
MAIN USS KO ABHI WAQIF-E-
ULFAT NA KARON'''



Ay khuda umar daraz kar dy meri


Ay khuda umar daraz kar dy meri...


Mein daikhu kon chaata hai usay

meri tarha,,,


Tuesday, 11 June 2013

BARISH KI TARAH TUJH PE BARASTI RAHEN



"BARISH KI TARAH TUJH PE 

BARASTI 
RAHEN KHUSHIYAN...



HER BOOND TERAY DIL SE HER 

EK GHUM 
KO MITA DE."


Happy Rainy day.



Enjoy ds WEATHER.




Sunday, 9 June 2013

December sey bhi thanda hai teri zulf ka saya



December sey bhi thanda hai teri zulf 
ka saya.. ..


jEE chata hy june yaheen aa kar guzar

don....!!


Friday, 7 June 2013

Manzil To Teri Yehi Thi, Bas Zindgi Guzar Gai Aate Aate



Manzil To Teri Yehi Thi, Bas Zindgi 

Guzar Gai Aate Aate,


Kia Mila Tujhe Is Dunya Se, Apno 

Ne Hi Dafna Diya Tujhe jate jate..



Bus Ye Naa Kehna K Tum Meri Nahin Ho



Bus Ye Naa Kehna K Tum Meri

Nahin Ho . . .


Baaki Har Baat Tumhari

Manzoor Hai Mujhko...





Najuk Mijaaz Hai Wo Pari iss Qadar


Najuk Mijaaz Hai Wo Pari iss 
Qadar......


Payal Jo Pehni Paoun Me,Cham 
Cham se Dar Gayi..




Thursday, 6 June 2013

Kaam Aasaan Tha Bhula Dena



Kaam Aasaan Tha Bhula Dena ,



Aur Ye Kaam Umar Bhar Na Hua ..!!




Adaayn Kum Karo Jaana



Adaayn Kum Karo Jaana . . .



Mera Emaan Jata Hai . . . !



♥♥▬♥ஜ۩۞۩ஜzaheer ahmed۩۞۩ஜ♥▬♥♥



Lafzon Se Hota Nahi Izhar Hum Se Pyar Ka



Lafzon Se Hota Nahi Izhar Hum 

Se Pyar Ka


Bus Meri Ankhon Main Daikh Kr,

Khud Ko Pehchan Lo...



Suno..Ek Baat Kahain Tum Se


Suno..Ek Baat Kahain Tum Se


Tumharey Saath Chalney Ki

Humien Adat Si Ho Ga'i Hai

Humien Chore Mat Jana

Hamara Man Hai Tumpe K
Tumharey Saath Chalney Ki
Tumhey Sochney Ki
Tumse Baat Karney Ki

Humien Adat Si Hogai Hai

Mager Phir Bhi
Agar Tum CHorna Chaho TOu

Hamarey Liye Yeh Mangna

Rab Se.

K Tumharey Janaye Se Pheley

Hamari Zindagi Ki SHaam Hojaye...