Dukhoun Ki Shiddatien Zakhmon
Ki Gehraii Mujhey Dey Do
Maseeha Tum Sahii Azn E
Maseehaii Mujhey Dey Do
Tum Apni Zaat Mein Khud Anjuman
Ho Tum Ko Kya Gham Hai
Main Tanha Hoon Ye Zouq E Bazm
Aaraii Mujhey Dey
Do Tum Apney Dil Key Darwazey
Muqaffal Shouq Sey
Kar Lo Bas Apni Zaat Sey Azn E
Shanasaii Mujhey Dey
Do Tumharey Baad Har Manzar
Mujhey Be'Rung Lagta Hai
Ye Aankhien Cheen Lo Ya Apni
Beenaii Mujhey Dey Do
Main Sanson Mein Samo Loon
Ga Tumharii Har Amanat
Ko Ye Wehshat-Naak Sannaatey
Ye TANHAII Mujhey Dey Do
Meri Shohrat Tumhaarey Kaam Aa
Jaye To Haazir Hai
Tumhien Dunya Ne Bakhshii Hai
Jo Ruswaai Mujhey Dey Do
Main Shayar Hoon Meray Be-Kaif
Be-Taseer Lafzon Ko
Amar Kar Do Tum Apney Ghum Kii
Ra’anaii Mujhey Dey Do,,
No comments:
Post a Comment