Phir us k baad kitni dair taak maiN
kuch nahi boli
MaiN kahti teri chahat ki fiza maiN
punkh bharooN kesay
Wo bola k bichri huwei koonj k
tootey huwey par se
MaiN kahti thei samandar maiN
khushi k kis tarha utrooN
kaha be-aa’b mahi ka sa paira’haN
pahan dekho maiN kahti thei chalo
itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey
ghi
Wo bola khawab-e-zeest ki teray
taa’beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai
k meray khawab
jhoothey they
Wo bola haaN yehi tey hai teray
lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara’bi hum they
ya ye dunia he dhooka thei
Wo bola baat hai itni tumhari
payaa’s zaida thei maiN kahti
payaas asi hai k dar’yaa khud
pukaa’ray gha
Wo bola haar jaa’oo ghi suno
waa’pis palat jaa’oo
maiN kahti thei meray baad tum
tanhaa na rah jaa’oo
Wo bola halqa-e-yaaraa’N bohat
hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN
hai ye dukh jaaN lay jaa’ey
wo kahta tha tumhaiN kitna hai
dukh maiN aazmaa’oN
gha maiN kahti thei kaho itna
kahaN taak aazmaa’o gay’
Wo bola bus wahaN taak , jab
tum apni jaa’N se jaa’oo gay’
phir us k baad kitni dair taak
maiN kuch nahi boli..
No comments:
Post a Comment