Sochta hon k buhat sad-o-masoom
hai woh Main abhi uss ko
shanasa-e-mohabbat na karon
Rooh ko iss ki aseer-e-ghum-e-ulfat
na karon uss ko ruswa na karon
waqf-e-museebat na karon
Sochta hon k abhi ranj say azad
hai woh waqif-e
Dard nahi kho gar-e-alaam nahi
Sehr-e-aish main usski asr-e-shaam nahi zindagi
uss k lye zeher bhara jaam nahi
sochta hon k
Mohabbat hai jawani ki khizaan
uss nay dekha nahi
Dunya main baharon k siwa
nikhat-o-noor say labreiz
baharon ki tarah sabz zaron k siwa
Aur sitaron k siwa
Sochta hon k ghum-e-dil na sunaon ussko samnay uss
k kabhi raaz ko uryaan na karon
khalish-e-dil say ussay
dast-o-girebaan na karon
Uss kay jazbaat ko main shola
badaman na karon
sochta hon jala degi mohabbat
ussko wo mohabbat
ki bhala taab kaha layegi
Khud to wo atish-e-jazbaat main
jal jayegi aur dunya ko iss ajnaam
say tarpaye gi..
SOCHTA HON BUHAT SADA-O-
MASOOM HAI WOH,,
MAIN USS KO ABHI WAQIF-E-
ULFAT NA KARON'''
No comments:
Post a Comment