Ab uss say bhi yehe kahay ga
bichartay lamhon me
uss nay mujh say kaha tha dekho
hamare rahain juda juda hain
Magar hamain aik dosray ka
khayal rakhna hai
zindagi bhar kisi bhi lamha
udasyon ki faseel hayal
na honay dena hawa k hathon pe
likhtay rehna judaiyon k tamam
qissay Qadam Qadam pe jo paish
ayn wo sanahay bhi nazar me
rakhna
Me jab bhi lauta to apnay
honton ki tazgi ko tumhare risti hui
ankhon me laa rakhonga Jo mere
apni hain, sirf mere bichartay
lamhon main uss nay mujh say na
janay kia kuch kaha suna tha
Aur ab uss say bhi yehe kahay ga wo
jiss k hathon me hath dalay nayay
safar pe nikal para hai...
No comments:
Post a Comment