widget

Sunday 11 January 2015

Afsurdgi k hathon jal jal k thak gaye hain


Afsurdgi k hathon jal jal k 
thak gaye hain 
Ay dil zara thahar ham chal 
chal k thak gaye hain 

Jese k be yaqini tabeer ho 
chuki ho 
ham ahl e khwab aankhain 
mal mal k thak gaye hain 

Kya janiye kitni gehri zulmat 
me hai muqadar 
Kya janiye kitne soraj dhal 
dhal k thak gAye hain 

Wa mandgi he thehri hasil e 
safar apna 
Tum ruk k thak gaye ho ham 
chal k thak gaye hain 

Is kanj e aafiyat se dushman 
ki qaid achi 
Saye me tumari muhabat ka 
jal k thak gaye hain..,,


No comments:

Post a Comment