Saturday, 22 June 2013
Friday, 21 June 2013
Wajood apna, na rooh apni Bas ik tamasha
Wajood apna, na rooh apni Bas
ik tamasha ye Zeest thehri, Na
dil'lagi mein sakon paia,
Na ashqi mein qarar paia Na
wasl lamhy hi raas aaye,
Na firaq hi hum guzar paey Ajab
ye chaht k marhaly
hain,Na jeet paey, na haar paey,
Na hi yadon ki dhund utri,Na dil k
daman ko jhar paye,
Na ankhein khawbon ko dhond
paien,Na khawb ankhon ko dhond
paye,
Bs ik tamasha ye zeest thehriNa
Wajod apna, Na rooh apni..!!
Mohabbat Mat Kaho Is Ko
Ab Is Mien Jhoot Shaamil
Ha. . . .!!
Mohabbat Mat Kaho Is Ko
Imaarut Dil Ki Girney Do
Taaluq Toot Jaaney Do Ke Jo
Deewaar Apney Boojh
Se Girney Pe Aajaey
Diiey Ki Lau Se Is Deewaar
Ko Phir Thaamna Kaisa
Hawa Ka Saamna Kaisa Buhat
Kumzoor Sa Sach Hai
Isey Ab Bujh Hi Jaaney Do
Mohabbat Mat Kaho Is Ko
Samjh Lo Sardiyoon Ki Dhoop
Jaisa Sach Mohabbat
Hai Panaah Zaat Ki Aagoosh
Mien Simtey Howe Sach
Mien Ajub Si Surd Mehri Hai
Keh Ju Thathray Howe Lufzoon
Ko Hidut Nahi De
Sakti Sulagti Raakh Ko Aatish
Ki Shidut De Nahi Sakti
Mager Such Bolna To Hai Andheira
Phailna To Hai
Ub Is Se Paishtar Ke Munjamid
Taareekiyaan Utrien
Aur Apne Neelgoo'n Honton Ko
Si Ker Dhoop Surma Ki
Kisi Ki Bolti Ankhoon Mein
Chumkey Aur Mar Jaey
Rutien Weeraan Kerjaey Osey
Ab Laut Jaaney Do
Mohabbat Mut Kaho Is Ko
Mohabbat Mat Kaho Is Ko
Ghaneeray Jungloon Ke Raaste
Ka Sach Mohabbat Hai
Sunehri Ghaas Pe Soti Howi
Pugdandiyoon Ka Sach
Mujsm Baankpun Ashjaar Se
Lipti Howi Badlien
Keh Ju Apni Namo Ki
Gungunaahut Hi Se Durti Hai
Dabey Paaon Guzarti Hien
Inhi Ki Aajzi Ka Sach
Mohabbat Hai Mager Tehro
Zara Soocho. . . .!
Ager Yeh Raaste Pugdadiyaan
Mahaz Harf-E-Tasali
Hoon Kisi Ki Muskuraahut
Hoon Kisi Ke Door Jaate
Bhaagte Qadmoon Ki Aahat
Hoon Hawa Ki Sursuraahut Hoon
Ya Aisa Khwaab Jis Ko Aakhrish
Aankhien Bhula
Daalien Ya Aisa Khat Jisey Likhien
Mager Likh Ker
Jala Daalien To Phir Aey Hum
Nafas. . . .!
Yeh Maan Lo Yeh Such Nahi
Kyun Ke Ab Is Mein
Jhoot Shaamil Hai Mohabbat
Mat Kaho Is Ko!!!!!
Jane Kiyon Shikast Ka Azab Liye Phirta Hoon
Jane Kiyon Shikast Ka Azab Liye
Phirta Hoon
Main Kiya Hoon Or Kiya Khuwab
Liye Phirta Hoon
Usne Aik Baar Kiya Tha Sawal-E-
Mohabbat
Main Har Lamha Wafa Ka Jawab
Liye Phirta Hoon
Usne Pucha Kab Se Nahi Soye
Main Tab Se Rat Jagon Ka Hisab
Liye Phirta Hoon
Us Ki Khuwahish Thi Ke Meri
Aankhon Main Pani Dekhe
Main Us Waqt Se Aansoun Ka
Selaab Liye Phirta Hoon
Afsos Ke Phir Bhi Woh Meri Na
Huwi
Main Jis Ki Aarzon Ki Kitab Liye
Phirta Hoon..
Mujhey MaLoom Hai Asaan Lagta Hai
SUno.........!!!
Mujhey MaLoom Hai Asaan
Lagta Hai Tumhein
Raahein Badal Lena Koi Bhi
Mor Mur Jaana
Kisi Manzil Ko Tohkar Maar
Ke Waapis Chaley Aana
Ya Manzil Ko Faqat Ik
Junbish-E-Lab Se Buhat
Nazdeek Le Aana Mujhey
Maloom Hai
Buhat Asaan Hai Tum Ko
Palat Jaana
Merii Tum Be-Bassi Dekho
Mujhey Tum Se
Mohabbat Ke Siwaa Kuch
Nahi Aata Magar Iss Mein
Bhi Kab Koi Qareena Seekh
Paai Mein
Ye Dekho Aankh Rona Chahti
Hai Phir Bhi Banjar
Hai Ye Dekho Haath Kitney
Sard Hein Merey Ye
Dekho Dil Ki Dharkan Kis Tarah
Tarteeb Khoh Kar
Doobney Ko Hai
Ye Dekho Mera Aanchal
Haathon Se Phissal Kar
Urr Geya Kab Se Ye Dekho
Saans Ki Dorri Bhi
Mujhsey Chuhtney Ko Hai
Merey Ehsaas Ka Resham
Ulajh Kar Tootney Ko Hai
Mujhey Tou Ye Hunar Bilkul
Nahi Aata Ke Kesey
Apney Zakhmon Ko Chuhpaatey
Hein Ya Kesey Dard
Ko Darmaan Banaatey Hein
Ya Kesi Roothtti Saanson
Ka Daaman Thaam Kar Waapis
Bulaatey Hein
Buhat Be-Khaawab Aur
Weeran Mosam Mein Khafa
Neendon Ko Kya Kah Kar
Manaatey Hein Mujhey Ye
Hunar Bilkul Nahi Aata
Ke Kesey Apney Mar Jaaney
Pe Nohey Aap Kartey
Hein Ya Apney Hi Galey Lag Kar
Dilaasa Kesey Bantey
Hein Phir Apni Hi Laash Ko
Kaesey Kisi Paayaab Dariya
Ya Kisi Adh-Bujhi Taaza
Chitaa Mein Jhohnk Detey
Hein Ya Phir Aakaash Ke
Neechey Khula Hi Chohr
Detey Hein Mujhey Tou Ye
Hunar Bilkul Nahi Aata
Ke Kaesey Zard Mousam Mein
Kisi Bhi Sard Aur Be-Dard
Mousam Mein Khushi Ka Aik
Bhi Ghuncha Bhala Kaesey
Khilaatey Hein Ya Kaesey Aadhey
Rastey Se Gharon Ko Lout
Jaatey Hein
Mujhey Bilkul Nahi Aata Mujhey
Tum Se Mohabbat Ke Siwa...
( Magar Wo Bhi Kahaan Aai )
Koi Hunar Bilkul Nahi Aata..!!
Kabhi Hum Tere Rubaru
Meri Palkon Ki shabnam,
Mere Labon Ka Tabasum,
Kabhi Junoon Mera,
Kabhi Sakoon Mera,
Kabhi Is Dil Ki Rahat,
Kabhi Shiddat-e-Chahat,
Kabhi Hum Tere Rubaru,
Phir Teri Yaadon Ki Khushbu,
Ye Sub Teri <Yaadon> K
Mausam Hain,
Jo Meri Zaat Mein Basty
Hain,Mujhay Her Baat Say
Dikhtay Hain,
Kabhi Dil Mein Utarty Hain,
To Phir Ankhon Se Barasty Hain,
YE Teri Yaad K Mausam HAIN Jo,,,,
.
Sirf TERI ZAAT
KO TARASTY HAIN..................
Thursday, 20 June 2013
Wednesday, 19 June 2013
Tuesday, 18 June 2013
Saturday, 15 June 2013
Wednesday, 12 June 2013
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey Bohat
Mumkin Tha Merey Paaon, Meri Zeest K Kaantey Nikal
Jaatey,,
Bohat Mumkin Tha Meri Raah K
Pathar Pighal Jaatey Jo Deewaarein
Merey Raste Mein Haayel Thein..
Merey Aagey Se Hatt Jaatein Agar
Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaron Ki Taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-
Abroo Se Katt Jatein,,
Bohat Munkin Tha Angaaron Bhari
Iss Zindegaani
Mein Tumhaarey Paaon K Ujley
Kanwal Khiltey Rafaaqat ki Sunehri
Jheel Mein,,
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e Musalsal ki Faza Rehti,,
Hamari Rooh Kab Ham Se Khafa
Rehti Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey,,
Subscribe to:
Posts (Atom)