widget

Friday, 21 June 2013

Mohabbat Mat Kaho Is Ko


Ab Is Mien Jhoot Shaamil 
Ha. . . .!!
Mohabbat Mat Kaho Is Ko 
Imaarut Dil Ki Girney Do
Taaluq Toot Jaaney Do Ke Jo 
Deewaar Apney Boojh 
Se Girney Pe Aajaey


Diiey Ki Lau Se Is Deewaar 

Ko Phir Thaamna Kaisa
Hawa Ka Saamna Kaisa Buhat 
Kumzoor Sa Sach Hai

Isey Ab Bujh Hi Jaaney Do 
Mohabbat Mat Kaho Is Ko


Samjh Lo Sardiyoon Ki Dhoop 

Jaisa Sach Mohabbat 
Hai Panaah Zaat Ki Aagoosh 
Mien Simtey Howe Sach 
Mien Ajub Si Surd Mehri Hai


Keh Ju Thathray Howe Lufzoon 

Ko Hidut Nahi De 
Sakti Sulagti Raakh Ko Aatish 
Ki Shidut De Nahi Sakti
Mager Such Bolna To Hai Andheira 
Phailna To Hai


Ub Is Se Paishtar Ke Munjamid 

Taareekiyaan Utrien
Aur Apne Neelgoo'n Honton Ko 
Si Ker Dhoop Surma Ki
Kisi Ki Bolti Ankhoon Mein 
Chumkey Aur Mar Jaey


Rutien Weeraan Kerjaey Osey 

Ab Laut Jaaney Do
Mohabbat Mut Kaho Is Ko 
Mohabbat Mat Kaho Is Ko


Ghaneeray Jungloon Ke Raaste 

Ka Sach Mohabbat Hai
Sunehri Ghaas Pe Soti Howi 
Pugdandiyoon Ka Sach
Mujsm Baankpun Ashjaar Se 
Lipti Howi Badlien


Keh Ju Apni Namo Ki 

Gungunaahut Hi Se Durti Hai
Dabey Paaon Guzarti Hien 
Inhi Ki Aajzi Ka Sach 
Mohabbat Hai Mager Tehro 
Zara Soocho.  . . .!


Ager Yeh Raaste Pugdadiyaan 

Mahaz Harf-E-Tasali 
Hoon Kisi Ki Muskuraahut 
Hoon Kisi Ke Door Jaate 
Bhaagte Qadmoon Ki Aahat 
Hoon Hawa Ki Sursuraahut Hoon



Ya Aisa Khwaab Jis Ko Aakhrish 

Aankhien Bhula 
Daalien Ya Aisa Khat Jisey Likhien 
Mager Likh Ker 
Jala Daalien To Phir Aey Hum 
Nafas. . . .! 


Yeh Maan Lo Yeh Such Nahi 

Kyun Ke Ab Is Mein 
Jhoot Shaamil Hai Mohabbat 
Mat Kaho Is Ko!!!!!


No comments:

Post a Comment