Sunday, 30 March 2014
Junoon-E-Dill Nahin Badlaa Sitamgar Bhi
Junoon-E-Dill Nahin Badlaa
Sitamgar Bhi Nahin Badla. Yahi
Duniyaa Ka Charkhaa Hai Ye
Chakkar Bhi Nahin
Badla...
Yahaan MaQtool Ka Chaheraa
Badaltaa Roz Hai Lekin. Nahin
Badla To Qaatil
Aur Khanjar Bhi Nahin Badla.
Sabhi Saffaak Lahroon Ki Hai
Koshish Raasta Badlon.
Magar Main Nay Ye Kashti Ye
Samandar Bhi Nahin Badla.
Yahaan Mosam Badaltay
Hain Yahaan Chahry Badaltay
Hain.
Main Apny Ap Ko Lekin Badal
Kar Bhi Nahin Badla. Na Main
Rastaa Badalta Hun Na Main
Wapis Palat'ta Hun. Giraataa
Roz Hai Mujh Ko Wo Thokar
Bhi Nahin Badla.
Main Jaisa Hun Main Waisaa
Hun Sabhi K Saamny Hi Hun.
Main Andar Say Nahin
Badla Main Baahir Bhi Nahin
Badla. Kabhi Jo Dil Badal Payaa
To Dilbar Bhi Main Badloon Ga.
Abhi Dill
Bhi Nahin Badla To Dilbar Bhi
Nahin Badla...
Suno ke Raigzaar'E umr ka
Suno ke Raigzaar'E umr ka yeh
aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta
ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood
aai hey
Merey qasid…suno..janay say pehlay
itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN
maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab
kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam'E
aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…
ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say
badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki
tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay
sajaye thay kisi ki aankh ke aansu…
kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar
lutaye thay bohat narmi say us peepal
ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN
saagar nahiN rotay
Muqaddar jinka sota hai….kabhi phir
woh nahiN sotay usay kehna mere
qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN
basar kar di woh aakhir pal tumharay pas
aa kar..kuch na keh paye lipat kar tum say
ro laiN gay..Agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…
Aik chokhat hey wuhi chokhat hey yeh
piyaray… jahaN sajday kiye hum ney…
jahaN par zindagi haari jahaN kuch pal
jiye hum ney….
jahaN par jaan yeh waari jawaaN margi
pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi
samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi wahaN bajti chaharoN
su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki
thakawat ho magar…
us dil nasheeN chehray pe..gehri
muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil
mera thehra..!
Meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh
kaam kar daina usay ji bhar ke takna
tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“Tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne
haari hey….nahiN tum ho sakay uske….
woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna...
WORLD's BEST MESSAGE
I love you but i am not your
lover....
i hug you but i am not ur life
patner....
I care for you but i am not from
your family.
I am ready to share your pain but
i am not in your blood relation.....
They are... Friends !
Loves you more than a
lover
Share to all your special / best
friends who mean a lot
to you...
Saturday, 29 March 2014
Sunday, 23 March 2014
Saturday, 22 March 2014
Friday, 21 March 2014
Bus yunhi rasmi rasmi sa
Bus yunhi rasmi rasmi sa
Ik be-mafhoom ta’aruf thaUs ne mera number mang liyaPhir ik din telifone kiyaPhir fone kiya..Phir fone kiya..
Ik roz thi barish zoro’n per
Baadal garjay, Bijli chamkiPhir boondai’n barsi khirki perTab uska telifone aya
Be-saakhta meine us se kahaBarsaat mein tanhai ki sazaKyun deti ho Kyun karti ho tum fone mujhy?Kuch lamho’n tak wo chup si rahi Phir kehnay lagi:
Jo aap ka dheema lehja haiMujhy be-hadd acha lagta haiAwaaz jo ap k honto’n seTashna kaano’n tak aati hai
MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!
Koi aisa gehra dukh bhi nahi
Koi aisa gehra dukh bhi nahi
Jisay dukh samnjhoo’n
Aur tum se kahoo’n
Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon
Kisi ujray ghar ki mamti per
Jab sham dhalay Kisi cheel ko
sir nehuwrraye huay mein paata
hoon Kho jata hoon
Tum poochtay ho : Koi dukh tou
nahi? Mein aik nazar tumhain
dekhta hoon Aur kehta hoon
Koi aisa gehra dukh bhi nahi
jisay dukh samjhoo’n Aur tum se
kahoo’n Jab dekhta hoon aisa manzar
Mein maazi mein kho jaata hoon
Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon. . !
Muhabbat mein muhaabbat ki safai
de rahy hain hum
Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy
hain hum Hamary haal per jana’n boht
khush fehm mat hona
Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay
hain hum Koi tohfa tumhein dena to
tha apni muhabbat ka
Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de
rahy hain hum Hamary rat-jago’n ka
tum ko kuch ehsas to ho ga
Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai
de rahy hain hum Jinhain khoon-e-jigr
se paish ro tehreer karty thy
Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy
hain hum Hum itny shor mein sab se
mukhatib bhi nahi ‘Sajid’
Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy
hain hum. . !
Subscribe to:
Posts (Atom)