Junoon-E-Dill Nahin Badlaa
Sitamgar Bhi Nahin Badla. Yahi
Duniyaa Ka Charkhaa Hai Ye
Chakkar Bhi Nahin
Badla...
Yahaan MaQtool Ka Chaheraa
Badaltaa Roz Hai Lekin. Nahin
Badla To Qaatil
Aur Khanjar Bhi Nahin Badla.
Sabhi Saffaak Lahroon Ki Hai
Koshish Raasta Badlon.
Magar Main Nay Ye Kashti Ye
Samandar Bhi Nahin Badla.
Yahaan Mosam Badaltay
Hain Yahaan Chahry Badaltay
Hain.
Main Apny Ap Ko Lekin Badal
Kar Bhi Nahin Badla. Na Main
Rastaa Badalta Hun Na Main
Wapis Palat'ta Hun. Giraataa
Roz Hai Mujh Ko Wo Thokar
Bhi Nahin Badla.
Main Jaisa Hun Main Waisaa
Hun Sabhi K Saamny Hi Hun.
Main Andar Say Nahin
Badla Main Baahir Bhi Nahin
Badla. Kabhi Jo Dil Badal Payaa
To Dilbar Bhi Main Badloon Ga.
Abhi Dill
Bhi Nahin Badla To Dilbar Bhi
Nahin Badla...
No comments:
Post a Comment