Suno ke Raigzaar'E umr ka yeh
aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta
ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood
aai hey
Merey qasid…suno..janay say pehlay
itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN
maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab
kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam'E
aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…
ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say
badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki
tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay
sajaye thay kisi ki aankh ke aansu…
kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar
lutaye thay bohat narmi say us peepal
ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN
saagar nahiN rotay
Muqaddar jinka sota hai….kabhi phir
woh nahiN sotay usay kehna mere
qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN
basar kar di woh aakhir pal tumharay pas
aa kar..kuch na keh paye lipat kar tum say
ro laiN gay..Agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…
Aik chokhat hey wuhi chokhat hey yeh
piyaray… jahaN sajday kiye hum ney…
jahaN par zindagi haari jahaN kuch pal
jiye hum ney….
jahaN par jaan yeh waari jawaaN margi
pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi
samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi wahaN bajti chaharoN
su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki
thakawat ho magar…
us dil nasheeN chehray pe..gehri
muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil
mera thehra..!
Meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh
kaam kar daina usay ji bhar ke takna
tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“Tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne
haari hey….nahiN tum ho sakay uske….
woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna...
No comments:
Post a Comment