Darman-e-Gham-e-Hijar Agar
Ho To Mujhy Kya,
Tumhain Ab Meri Khaber Ho To
Mujhy Kya?
Jab Ho Gai Gam Sy Meri Dunya
Teh-o-Bala,
Ab Ek Jahan Zair-o-Zabar Ho To
Mujhy Kya
Jab Khaaq Bhi Baqi Na Rahi Qalb'o
Jigar Ki, Ab Koi Mere Liye Khaaq
Basar Ho To Mujhy Kya?
Han Ab DiL-e-Veraa’n Me Ujala
Nahi Hota,
Tum Gherat-e-Khursheed-o-Qamar
Ho To Mujhy Kya?
Aur Hy Ab Meri Dunya Me Sarasar
Shab-e-Furqat, Ab Is Shab-e-Furqat
Ki Sehar Ho Tu Mujhy Kya?
Achha Hy Bin iffi K Guzar Jaye Kisi
Ki, Aur Phir Bhi Kisi Ki Na Guzar Ho
Tu Mujhy Kya…
No comments:
Post a Comment