Ab to yadon se teri dil yeh
behalta kam hai...
zaiwer e ghum se mera jazba
sawarta kam hai...
bhoulay jata hun tere chehray
ki rangat ab to...
ab to shairoun me meri jan tu
jhachta kam hai...
muj se pooray hi nahin hotay
taqazay mere...
ab to aisay hen shab e ghum
se yeh rishtay mere...
ab to aisay hen shab e ghum
se yeh rishtay mere...
jaisay souraj ko kabi ruswa
sitara ker day...
jaisay sahil e sumandar ki
tanabain tootain...
jaisay bhoulay se koi bat dobara
ker day...
jaisay soukhay hue paton se
kabi bu guzray...
jaisay lab bandhay hue payasa
lab-e-ju guzray...
khud hi jaltay hen adhouray se
fasanay mere....
ab to aisay hen shab e ghum se
yeh rishtay mere...
yeh zaroori to nahin hai k teri
ankhooN me...
jo b kajal ho meri shab ka muqadar
thehray...
tere anchal ki hawaon se chalay
sans meri...
tere mathay pe mere nam ka
jhoumar thehray...
ab tera hath nahiN hai to mere
zakhmuN ki...
kerne lagtay hen maseehai yeh
saye mere...
phir b qaim hen mere dil me yeh
jazbay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se
yeh rishtay mere...
ab to aisay hen shab e ghum se
yeh rishtay mere...
No comments:
Post a Comment