Husn ghumzay ki kashakash
se chuta, mere bad,
Baaray, aram se hen ahl e jafa,
mere bad,
Mansab e shaiftagi k koi qabil
na raha,
Hui mazouli e andaz o ada,
mere bad,
Shama bujhti he to us me se
dhuwan uthta he,
Shula e ishq sea posh hua,
mere bad,
KhouN he dil khak me ahwal e
tabaN per, yani,
Un k nakhun hue mohtaj e hina,
mere bad,
Dar khour e arz nai johar e
bedad ko ja,
Nigeh naz he surmay se khafa,
mere bad,
He jaouN ahl e janouN k liye
aaghosh e wida,
Chak hota he garaibaN se juda,
mere bad,
Kon hota he hareef e may e mard
afgan e ishq,
He mukarar lab saqi pe silah,
mere bad,
Ghum se marta hun k itna nai
dunia me koi,
K kare taziyat e mehr o wafa
mere bad,
Aye he bekasi e ishq pe rona
ghalib,
Kis k gar jaye ga sailab e bala
mere bad...
No comments:
Post a Comment