Abke ye Ehteyaat bhi kar
jaanaa chaahiye !!!
Aandhi se Qabl khud hi
bikhar jaanaa chaahiye
Haan jab mujhe jamood ki
tohmat hi mil gayi
To dil se bhi khayaal e safar
jaanaa chaahiye
Sab raaste hisaar ke jangal
me Qaid hain !!!!
Kiya faisla karen k kidhar
jaanaa chaahiiye !
Rahzan to sab kamaayaa
jua maal le gaye
Ab sirf jaan leke na ghar
jaanaa chaahiye !
Karte hain be sabab hi
khataayen ma’aaf jo
Aise “khata ma’aaf” se dar
jaanaa chaahiye
Kuchh faisle to honge mere
ikhtiyaar ke !!!!
Aankhon se ye Ghelaaf utar
jaanaa chahiye
Jab mere paas us ke liye
Chatt talak nahi !
Ae uski aarzoo, tujhe mar
jaanaa chaahiye...
No comments:
Post a Comment