Meri aankhon main ummad
aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na
kinara dil ka
bus muhabbat se riwayat hai
kahani dil ki
chaar harfon se ibarat hai
fasana dil ka
us ne dali hi nahin bheek nazar
kee aur main
liay aankhon main kharra reh
gaya kaasa dil ka
saans rukti hai tau phir jaan ka
khayal aata hai
dil dharakta hai tau lag jata hai
dharka dil ka
issi koshish main buhat umar
ganwa di main ne
phir bhi poora na huwa mujh
se khasaara dil ka
meri payaab tamanna’in
batati hain mujhay
sookh jaye ga koi roz main
darya dil ka
badli badli si sada deti hai
dharkan dil ki
hijr main aur hi ho jata hai
lehja dil ka
kiyun na aye dost abhi tark-e
muhabbat kar lain
iss se pehlay ke badal jaye
iraada dil ka
fikr-e-dunya main mere dil ko
bhulanay walay
teri dunya se ziada hai asaasa
dil ka
us ki ankhon ne kaha chupke se,
khul ja sim sim
khul gaya ain ussi waqt dareecha
dil ka
ishq katay ga abhi aur chatanain
"sagar"
aqal dekhi gi abhi aur tamasha
.dil ka.....
No comments:
Post a Comment