widget

Thursday, 1 May 2014

Sar e taq e jaan Na Chiragh Hai


Sar e taq e jaan Na Chiragh Hai,
Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi,
Ujab Ek Arsa-e-daraz Hai,
Na Guman Hai Na Khabar Koi

Nahin Aab To Koi Malal Bhi,
Kisi Wapsi Ka Khiyal Bhi
Gham-e-baikasi Ne Mita Diya,
Meray Dil Main Tha Bhi Aagar Koi

Tujhay Kia Khabar Ke Raat Bhar,
Tujhay Daikh Paanay Ko Ek Nazar
Raha Sath Chand Kay Muntazar,
Teri Khidkion Ke Udhar Koi

Sar-e-shakh-e-jan Teray Naam Ka,
Ujab Ek Taza Gulab Tha
Jisay Aandhi’on Se Khatar Na Tha 
Jisay Tha Khizan Ka Na Der Koi

Teri Bairukhi Kay Diyar Main,
Ghani Tairgi Ke Hisar Main,
Jalay Kis Tarah Se Chiragh e jan,
Karay Kis Taraf Ko Safar Koi

Katay Waqt Chahay Aazab Main,
Kisi Khuaab Main, Ya Sarab Main
Jo Nazar Se Door Nikal Giya,
Usay Yaad Karta Hay Har Koi

Sar-e-bazm Jitnay Chiragh Thay,
Woh Tamam Ramz Shanas Thay
Teri Chashm-e-khush Ke Lihaz Se,
Nahin Boolta Tha Magar Koi...

No comments:

Post a Comment