Friday, 21 November 2014
Monday, 17 November 2014
Friday, 14 November 2014
Darya Se, Kohsaar Se Pehle Ki Baat Hai
Darya Se, Kohsaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Insaan Her Aitbaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Nafrat Se Aur Pyar Se Pehle
Ki Baat Hai
Ye Tujh Pe Aitbaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Jumbish Thi Aankh Mein
Bhi Badan Mein Bhi Rooh Thi
Ye Baat Intezaar Se Pehle Ki
Baat Hai
Dil Meray Ikhtiaar Mein Hota
To Tha Magar
Ye Teray Ikhtiaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Jab Dil Pe n Eel Ban Ke Dikhi
Theen Na Khuahishain
Ye Tujh Sitam Shuaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Kuch Saar'baan Thay Aur Jaras
Ki Sadaa Bhi Thi
Ye Baad-e-Reigzaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Ek Kaarwaan Aur Aik Tha
Mehmil Bhi Darmiaan
Ye Raah Ke Ghubaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Wo Aah-E-Dil'shagaaf Adeem
Aur Wo Tarap
Ye Dard Ke Khumaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Ek Dard Tha Kisi Ki Nishani
Dia Hua
Lekin Ye Teray Pyaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Ek Aashiaan Tha Uss Mein
Parinday Bhi Thay Adeem
Ye Mausam-e-Bahaar Se Pehle
Ki Baat Hai
Adeem Hashmi
Gharor-e-Jaan Ko Mere Yaar Baich Dete Hain
Gharor-e-Jaan Ko Mere Yaar
Baich Dete Hain
Qabaa Ki Hirs Mein Dastaar
Baich Dete Hain
Ye Log Kia Hain K Do Chaar Khawahishon K Liye
Tamam Umar Ka Pindaar
Baich Dete Hain
Janoon-e-Zeenat-o-Aaraish-e-
Makaan K Liye
Kai Makeen Dar-o-Dewaar
Baich Dete Hain
Zara Bhi Nirkh Ho Baala To
Taajran-e-Harm
Qalm-o-Jubba-o-Dastaar
Baich Dete Hain
Bus Itna Farq Hai YOUSAF
Mein Or Mujh Mein Faraz
K Us Ko Bhai aur Mujh Ko Yaar
Baich Dete Hain..
Suno jana! Palat ana K koi yad karta hai
Suno jana! Palat ana
K koi yad karta hai
Tumhen awaz deta hai
Tumhe khush dekhne
k vaste
Apne dil-e-muztir ko jo
na shad karta hai
Tumhari ik jhalak k vaste
Galiyon mein Raston mein
Subha se sham
Din se rat karta hai
Jinhen tum se aqeedat hai
Teri be laos chahat hai
Tumhen takne ki hasrat hai
Jinhen tum se mohabbat hai
Unhen kuch waqt dete hain
So gar mumkin ho kuch aisa
To un ki chah ki khatir
Suno Jaanan! Palat aa na
k koi yaad karta hai...
Jana Aaj jab November ki thandi raat me
Jana..!Aaj jab November ki
thandi raat me shaaL ko..
Orhy ghar se nikla,,
To Yad mujhe tum aiee ho...
or tmhra lehja bhi Yad bhut
hi aya ha..
aesi thndi raato me tum
ShaaL pehn ke Jaya karo..
Bemar naa tum par jana..
PHir meri profile pe bthe ...
meri chat ko taktty rhena ...
me us chat window me
tmhe nazaR naa AogI...!!
phir Aaj November kii thandi
Raat me shaL ko Orhy..
Ghar se nikla..
To Yaad aya Tum kheti Thi...
Tumhen Khone Se Darta Hoon
Tumhen Khone Se Darta Hoon
Me Khawab Bohat Dekhta Hoon
Aese Khuwab!
Jin Me Koi Dukh Koi Pereshani
Nhi Hoti Jin Me Wasal K Raste
Hijer Ki Waadi Se Ho Kr Nhi
Guzerte
Jin Me Muhabat Hamesha Adh
Khule Phool Ki Terha Khubsurat
Or Bache Ki Muskaan Ki Terha Khubsurat Hoti He
Aese Khuwab! Jaha Ek
Muskurahat Ki Qeeemat Hazaar
Ansoo Nahi Hote
Meri Palkoon Ki Shakhoo Per
Kai Aese Khuwab Bethe Rehte Hain
In Ki Gungunahat Mujhe Jeene
Pe Uqsati He
Nay Rastoon Ki Or Le Kr Chalti
He Nai Manziloon Ka Pata Batati
He
Mujhe Apne Khuwab Se Muhabat
He Un Khuhwaboon Me Rehne
Wale Hr Ek Shaks Se Muhabat He
Un Khuwaboo M Deikhne Wali
Her Ek Shay Se Muhabat He
K Ye Sab Mera He Sirf Mera
Mere Khuwab Mere Ilawa Koi
Nahi Dekh Sakta
Jab Tak K Me Na Dikhana
Chahoon Koi Inhe Meri Ankhoon
Se Chura Nhi Sakta
Jab Tak Me Khud Na Kisi Ki
Ankhoo Me Saja Doon
Mere Khuwabo Aaj Me Iqraar Karta Hoon
K Me Tum Me Zinda Hoon
Ye Sach He K Mujhe Ansoon Se
Dar Nahi Lagta
Mager Phir Bhi Me Shayad Is Liye
Rone Se Darta Hoon
K In Akhoon Me Tum Rehte Ho
Tumhara Hona Mera Hona He
Or Me Tumhe Khone Se Darta
Hoon...
December muje tuj se koi
دسمبر مجھے
نہیں ہے نہ کوئی گلہ ہے
کہ تو نے مجھے بے سبب سی
اُداسی کا تحفہ دیا ہے
نہ مجھ کو تری سرد راتوں کی تنہائیوں
میں کسی اپنے غم کو جلا کر اُسے تاپنا ہے
نہ تجھ سے کوئی بات کہنی ہے مجھ کو
دسمبر!
حقیقت یہی ہے کہ میں تیرے آنے
سے ہہلے بھی ایسا ہی تھا
نارسائی کے غم میں سلگتا، اداسی کی
چادر میں لپٹا اور اپنے ہی اندر کی
ویرانیوں پر کبھی شعر کہتا
کبھی نظم لکھتا
دسمبر!
حقیقیت یہی ہے ترے بعد بھی میرے
معمول میں کوئی تبدیلی آئے
یہ ممکن نہیں
سالہا سال سے میں اسی دائرے
میں سفر کر رہا ہوں
ترا دوش کوئی نہیں ہے دسمبر!
مجھے تجھ سے کوئی شکایت نہیں ہے
Saas Lena Hua Muhal Mujhe Es Mohabbat Se
Saas Lena Hua Muhal
Mujhe Es Mohabbat Se Ab
Nikal Mujhe
Ab Ab Me Teri He Zimedari
Hun Kho Na Jao Kahein
Sambhal Mujhe
Ab Behelta Nai Me Lafzon Se
Ab Na Dena Koe Misal Mujhe
Sab Ke Bare Me Sochta Hun
Magr Khud Ka Rehta Nai
Khayal Mujhe
Jate Jate Wo Kis Leye Palta
Ab Sataye Ga Ye Sawal Mujhe
Saaf Keh De Jo Tere Dil Me
He En Bahanon Se Ab Na
Taal Mujhe...
Subscribe to:
Posts (Atom)