Tumhen Khone Se Darta Hoon
Me Khawab Bohat Dekhta Hoon
Aese Khuwab!
Jin Me Koi Dukh Koi Pereshani
Nhi Hoti Jin Me Wasal K Raste
Hijer Ki Waadi Se Ho Kr Nhi
Guzerte
Jin Me Muhabat Hamesha Adh
Khule Phool Ki Terha Khubsurat
Or Bache Ki Muskaan Ki Terha Khubsurat Hoti He
Aese Khuwab! Jaha Ek
Muskurahat Ki Qeeemat Hazaar
Ansoo Nahi Hote
Meri Palkoon Ki Shakhoo Per
Kai Aese Khuwab Bethe Rehte Hain
In Ki Gungunahat Mujhe Jeene
Pe Uqsati He
Nay Rastoon Ki Or Le Kr Chalti
He Nai Manziloon Ka Pata Batati
He
Mujhe Apne Khuwab Se Muhabat
He Un Khuhwaboon Me Rehne
Wale Hr Ek Shaks Se Muhabat He
Un Khuwaboo M Deikhne Wali
Her Ek Shay Se Muhabat He
K Ye Sab Mera He Sirf Mera
Mere Khuwab Mere Ilawa Koi
Nahi Dekh Sakta
Jab Tak K Me Na Dikhana
Chahoon Koi Inhe Meri Ankhoon
Se Chura Nhi Sakta
Jab Tak Me Khud Na Kisi Ki
Ankhoo Me Saja Doon
Mere Khuwabo Aaj Me Iqraar Karta Hoon
K Me Tum Me Zinda Hoon
Ye Sach He K Mujhe Ansoon Se
Dar Nahi Lagta
Mager Phir Bhi Me Shayad Is Liye
Rone Se Darta Hoon
K In Akhoon Me Tum Rehte Ho
Tumhara Hona Mera Hona He
Or Me Tumhe Khone Se Darta
Hoon...
No comments:
Post a Comment