Ajab pagal si larki...!
Meri khamosh aankhon main,
Mehakti, muskurati, gungunati,
khwab si gehri mohabbat k sabhi
rangon se waqif hai...
...
Magar anjaan banti hai,
Wo meri beqarari k sabhe
maana samajhti hai,
Magar khamosh rehti hai,
Usay maloom hai ye betahasha
bolne wala...!
Zamane bhar k qissey,
daastanen us se kehta hai,
Her ek mozoo pe us se baat
kerta hai...
Woh us se keh nahi sakta,
"Meri sochon k mehwar ho,
Tumhare bin mujhe ye zindagi
bekaar lagti hai,
Mera her din tumhari soch k
suraj se ugta hai,
Meri her shaam k pehloo main
tum he muskurati ho,
Meri her raat karb-e-naarsai
se sulagti hai,
Ager khud se tumhen minha
karoon tou kuch nahi bachta..."
Usay maloom hai ye shab gaye
tak jaagne wala...!
Jise khwabon ki dunia se
mohabbat si mohabbat hai,
Woh kyon sone se darta hai?
Usay kia khof lahaq hai?
Woh khul ker kyon nahi hansta?
Woh kyon chhup chhup k rota
hai...?
Usay maloom hai sub kuch,
Mager anjaan banti hai...
Usay ye kon samjhaaye?
K dil youn naarsai ki tapish
ziada dino tak seh nahi sakta,
Jise khwabon ki dunia se
mohabbat si mohabbat ho,
Woh khwabon k bina aise
adhoora reh nahi sakta,
Usay ye kon samjhaye?
K us se betahasha bolne waala...!
Jo her mozoo per uss se baat
kerta hai,
Kabhi ye keh nahi sakta,
"Meri veraan aankhon main,
Kayi sapne samo jao,
Tumhare bin adhoora hon,
Meri takmeel ho jao..."
Usay maloom hai sub kuch
magar ye kon samjhaye...
Ajab pagal si larki hai...!!!
No comments:
Post a Comment