Sunday, 5 January 2014
Friday, 3 January 2014
Thursday, 2 January 2014
Jahan pe khatm hui phir se ham shuru karte
Jahan pe khatm hui phir se, ham shuru
karte,Jo dastan-e muhabbat ki guftgu
karte.
Hamare jitna kahan koi, tumko chahega
Abas ye umr guzaroge, justju karte.
Bayan-e ghair pe usne yaqin kar to liya,
Vo kash mere raqibon ko, ru-ba-ru karte.
Bahut aziz hai hamko ye apni nakami,
Khudi ko bech ke kya khud ko surkh-ru
karte.
Wo aa ke samne baithe the aj mehfil
mein,Ham unse aur karam ki kya, aarzu
karte.
Junun mein mere gareban ko tar-tar kiya,
Wo chasm-e nam liye baithe hain, ab rafu
karte.
Saba ka shukr hazaran, jo layi ye nikhat,
Zamana guzra hai us gul ki, aarzu karte.
Ajab hai taur-o-tariqa ye bazm-e rindan
ka,Sharab peene se pehle hain sab wazu
karte.
Ragon mein khoon ka qatra bhi ab nahin
baqi,Kahan se ghazlon ki syahi ko ham
lahu karte..
Tumhare pyar ki khatir ye kar jana hi behtar hai
Tumhare pyar ki khatir ye kar jana hi
behtar hai. Kaho tum jan dene ki, to mar
jana hi behtar hai.
Meri nazron se kab koi tujhe ai chand
dekhega,Mere aaina-e dil mein, utar jana
hi behtar hai.
Liye ek jazba-e sajda bhatakta hun mein
aawara,Jhuka kar teri chaukhat par, ye sar
jana hi behtar hai.
Lisan ul-Asr ka ye qaul ab mujhko samajh
aaya,Darayen khel mein bachche, to dar
jana hi behtar hai."
Tumhari rast-goyi se kisi ki jan jati ho,
To phir aise kisi sach se, mukar jana hi
behtar hai.
Kaha walid ne "barkhurdar, gar hon khar
raste mein,Bacha kar apne daman ko,
guzar jana hi behtar hai."
Agar hai shauq-e pa-bosi, to in manus
rahon mein,Tera reza-reza hokar, bikhar
jana hi behtar hai.
Ba nam-e dosti gar dushman-e jan ghar
bulate hain,Khilaf-e maslahat ye hai
magar jana hi behtar hai.
Raqibon ne unhein bhi nam se mere
bulaya hai,Agarche jan ka khatra hai,
par jana hi behtar hai.
Hua phir yun shahidan-e wafa mein ho
gaya shamil,Nahin hai sath qismat mein,
to mar jana hi behtar hai.
Bahut tum kar chuke sehra-nawardi,
'Agar ab bhi wo apna le, to ghar jana hi
behtar hai...
Mana ke halaat darane wale hain
Mana ke halaat darane wale hain,
Phir bhi ham ye bat batane wale hain.
Unko tumse kab sachhi hamdardi hai
Hathi ke ye dant dikhane wale hain.
Jhoot-o-makar ki is shatranji duniya
mein,Apne pyade maat dilane wale
hain.
Aur shahadat thodi si mil jaye to,
Ham unki auqat batane wale hain.
Mazi ke zakhmon pe ham faha rakha
kar,Dushman se ab hath milane wale
hain.
Gardish mein hai haal hamara,
hazrat-e man Dekhein kab tak sath
nibhane wale hain.
Tere shahr se ab ham kya nata jodein
Ham to bas ek rat bitane wale hain.
Sulah ki surat kya nikle hamsaye se
Bat karo to bat badhane wale hain..
Har roz tujhko socha har roz tujhko chaha
Har roz tujhko socha, har roz tujhko
chaha,Har roz aarzu ki, har lamha yun
nibaha.
Tere haseen rukh se, jab bhi palat ke
lauti,Apni nazar ko hamne, sau bar phir
saraha.
Main badhun, ke laut jaun, kuchh soojhta
nahin hai,Har lehja kash-ma-kash hai,
har gam pe doraha.
Mera jism-o-rooh hai ghayal, dast-e shifa
se apne,Kabhi aa ke tu hi rakh de,
zakhmon pe mere faha.
Yun to bazm mein sabhi hain, deewane
tere bismil,Magar kaun be-adab hai,
sar-e aam jo karaha.
Manzil sabhi ki tu hai, raste agar juda
hain,Zahid hi "hu-o-haq" hai, maston
ki "hu-o-ha ha".
'Sagar' se hun mein waqif, mein yaqin se
keh raha hun,Tujhe chah kar phir usne,
kisi aur ko na chaha.
Rasta mehfooz hai ya pur-khatar
Rasta mehfooz hai ya pur-khatar,
jaisa bhi hai,Mustehkam hai ab mera
azm-e safar, jaisa bhi hai.
Hon mubarak aap ko qasr-o-mahal,
Mera ghar hai mera ghar, jaisa bhi
hai.
Tujhse wabasta hai mera har kalaam,
Go nahi maqbul par, jaisa bhi hai.
Ishq mein shayar hai tera qamyaab,
Ba-hunar ya be-hunar, jaisa bhi hai.
Go nazar aata nahin, par hai zarur,
Koi mera hamsafar, jaisa bhi hai.
Koi to hamrah hai tufan mein,
Rahzan ya rahbar, jaisa bhi hai.
Teri galiyon se ta'alluq hi nahin,
Ab nahin mera guzar, jaisa bhi hai.
Mujh se aasi par karam ki bheekh ho,
Tere qadmon pe hai sar, jaisa bhi hai.
'Sagar' hai mera hi logo urf-e aam,
Pur-asar ya be-asar, jaisa bhi hai.
Mein darta hun ke tumse saamna ab phir na ho jaye
Mein darta hun ke tumse saamna ab phir
na ho jaye,
Jo dil mein hai mere pinha kahin zahir na
ho jaye.
Zara si bat par gar yun kaleja moohn ko
aata hai,Mera dil gham uthane se kahin
qasir na ho jaye.
Ye hijrat aur ye doori, shab ki ye khamosh
tanhai,
Agar yun hi rahin aashiq tera shayar na
ho jaye.
Mein khud bhi ehtiyatan us pari-ru se
nahi milta,Wohi jo dushman-e jani hai wo
dilbar na ho jaye.
Mein ghar ki bekasi ko chhod kar sehra
mein aaya hun,
Magar lagta hai ye sehra hi mera ghar na
ho jaye.
Ye jambhoori siyasat hai, yahan andaza
mushkil hai,
Jo kal tak raahzan tha, wo hi kal rahbar
na ho jaye.
Hai jazb-e jan-supari aajkal aur sar mein
sauda hai,
Shahidon mein kahin shamil tera na ho
jaye.
Na-ummeedi se dil gar bujha chahiye
Na-ummeedi se dil gar bujha chahiye,
Tere honthon pe harf-e dua chahiye.
Ibn-e Maiyam ki tarha jilaye koi,
Mojiza chahiye, mojiza chahiye.
Ham rahe sochte, kuchh bhi keh na sake,
Darasal usne poocha tha "kya chahiye".
Dil to bachcha hai meri ye sunta nahi,
Jo ise chahiye, barmala chahiye.
Doston ki inayat bahut dekh li,
Ab kahin door ja ke raha chahiye.
Wapsi meri ab bhi hai mumkin magar,
Ek mubham si dil se sada chahiye.
Tum hi tum shayari mein numayan rahe,
Apni halat pe kuchh ab kaha chahiye.
Ai meherban tera qaul wajib, magar,
Jo mein kehta hun wo bhi suna chahiye.
Lakh aasi hai ' Khudaya ise,
Tera rahm-o-karam be-baha chahiye.
Khud mein hum muqayyad the inqilab kya karte
Khud mein hum muqayyad the, inqilab
kya karte, Jang ye hamari thi, aan-janab
kya karte.
Sabko chhod kar pehle, mujhko jam deta
hai,Maiqade mein saqi se, ham hisab kya
karte.
Sabne kis qadar roka, phir bhi dil laga
baithe,
Apni hi khataon par, wo itaab kya karte.
Aap ki jafaon ka anjuman mein charcha
tha,Ghair se mukhatib the, ham khitab
kya karte.
Aap ne ziya bakhshi, zeest ke andheron
ko,Zindagi se badh kar ham, intisaab kya
karte.
Aaina sanwarta hai, jiske samne har din,
Aise jalva-ara ko be-hijab kya karte.
Aap se muhabbat hai, sare zulm sehta
hun,
Koi sakht-jan hota, to janab kya karte.
Hashr mein muqabil the, phir bhi ham
rahe sakit,
Ab sawal kar ke unhein, la-jawab kya
karte.
Na kahin wafa aisi, aur na aisi ulfat hai,
jab nahin koi tum sa, intikhab kya karte.
Jiska nam lene se 'nur' jagmagata hai,
Uske samne 'Sagar' aaftab kya karte.
Jabse ye suna hai logon ko
wo mara karte hain,
Ye qasd hai ham bhi dekhenge, kya hal
hamara karte hain.
Aa’ine ke lab to sakit hain, tum apne
hosh sambhalo miyan,
Ai hazrat-e dil ab mehfil ko, wo jalwa-ara
karte hain.
Us naz-o-ada ke qurban hain, us husn ke
ham to shaida hain,
Us mah-pari par dil hi nahin, ham jan bhi
wara karte hain.
Wo honge koi kamzarf ke jo, mahboob se
shikwa kar baithe,
Ham log to sachhe aashiq hain, har zulm
gawara karte hain.
Tera chehra dhoonda karte hain, ham
subh se le ke sham talak,
Raton ko ham uth kar neendon se, tera
nam pukara karte hain.
Ham pas rahein ya door kahin, mehfil
mein rahein ya khalwat mein,
Dildar tumhin ko jana hai, tumko hi
nihara karte hain.
Is aas pe jite aaye the, ik roz milenge
tumse magar,
Ab tumse milna jurm hai to, ye jurm
dobara karte hain.
Shayar ke bayan ko kya samjhein, wo be
dil aur khud-ara jo,
Nazron ki zaban se kehte hain, ghamzon
se ishara karte hain.
Parde se wo bahar aaye hain, tere nale
sunkar ai ‘Sagar’,
Ab aage badh kar batla do, kyun sog
tumhara karte hain.
Seene mein dafn kyun nahin jazbat karo ho
Seene mein dafn kyun nahin jazbat karo
ho Mua'afiq nahin halaat to kyun bat karo
ho.
Aaye jo nibhane pe to kuchh kar nahin
pate,Baton mein magar khoob karamaat
karte ho.
Dil ki jagah ho sang-e be-his hi jiske pas,
Us se bhala kya ummid-e inayaat karte ho.
Girdab mein gardish ke hun, hain dost
nadarad,
Tum bhi to sahil se isharaat karte ho.
Dar se tumhare koi bhi lauta nahi maayus,
Tum ishq karte ho ke ya khairaat karte ho.
Ham roz shab-e hijr ko karte hain subh-e
nau,Har subh-e nau ko hijr ki tum raat
karte ho.
Kisne kaha tha tumse ki 'Sagar' se karo
ishq,Paida tum apne waste aafaat karte ho.
Hamare ishq ke afsane kal kahan honge
Hamare ishq ke afsane kal kahan honge,
Karenge yad tumhein chahe ham jahan
honge.
Zamana guzra hai unko, qareeb dekhe
hue,
Kaha tha jisne ki do jism ek jan honge.
Chale ho jin pe liye hath hath mein mera,
Wo raaste bhi kabhi rashq-e kehkashan
honge.
Karoge bat to hir-phir ke hoga zikr mera,
Jo chup rahoge to aankhon se ham ayaan
honge.
Rahenge sath khushi se tumhari qurbat
mein,
Qafas mein reh ke bhi ham ahl-e aashiyan honge.
Kise khabar thi muhabbat mein sath rehte
hue,
Taweel fasle bhi apne darmiyan honge.
Badhega jab bhi kisi ka qadam su'e
maqtal, Zamana dekhega ham meer-e
karvan honge.
Tumhare dar se hai nisbat janam-janam
ki hamein,
Fana ke ba'd bhi ham khak-e aastan honge.
Wafa ki rah mein 'Sagar' khyal itna rahe,
Abhi to aage bahut ismein imtihan honge.
Karenge yad tumhein chahe ham jahan
honge.
Zamana guzra hai unko, qareeb dekhe
hue,
Kaha tha jisne ki do jism ek jan honge.
Chale ho jin pe liye hath hath mein mera,
Wo raaste bhi kabhi rashq-e kehkashan
honge.
Karoge bat to hir-phir ke hoga zikr mera,
Jo chup rahoge to aankhon se ham ayaan
honge.
Rahenge sath khushi se tumhari qurbat
mein,
Qafas mein reh ke bhi ham ahl-e aashiyan honge.
Kise khabar thi muhabbat mein sath rehte
hue,
Taweel fasle bhi apne darmiyan honge.
Badhega jab bhi kisi ka qadam su'e
maqtal, Zamana dekhega ham meer-e
karvan honge.
Tumhare dar se hai nisbat janam-janam
ki hamein,
Fana ke ba'd bhi ham khak-e aastan honge.
Wafa ki rah mein 'Sagar' khyal itna rahe,
Abhi to aage bahut ismein imtihan honge.
Tuesday, 31 December 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)



















