widget

Thursday, 2 January 2014

Rasta mehfooz hai ya pur-khatar


Rasta mehfooz hai ya pur-khatar, 
jaisa bhi hai,Mustehkam hai ab mera 
azm-e safar, jaisa bhi hai.

Hon mubarak aap ko qasr-o-mahal,
Mera ghar hai mera ghar, jaisa bhi 
hai.

Tujhse wabasta hai mera har kalaam,
Go nahi maqbul par, jaisa bhi hai.

Ishq mein shayar hai tera qamyaab,
Ba-hunar ya be-hunar, jaisa bhi hai.

Go nazar aata nahin, par hai zarur,
Koi mera hamsafar, jaisa bhi hai.

Koi to hamrah hai tufan mein,
Rahzan ya rahbar, jaisa bhi hai.

Teri galiyon se ta'alluq hi nahin,
Ab nahin mera guzar, jaisa bhi hai.

Mujh se aasi par karam ki bheekh ho,
Tere qadmon pe hai sar, jaisa bhi hai.

'Sagar' hai mera hi logo urf-e aam,
Pur-asar ya be-asar, jaisa bhi hai.


No comments:

Post a Comment