Mein darta hun ke tumse saamna ab phir
na ho jaye,
Jo dil mein hai mere pinha kahin zahir na
ho jaye.
Zara si bat par gar yun kaleja moohn ko
aata hai,Mera dil gham uthane se kahin
qasir na ho jaye.
Ye hijrat aur ye doori, shab ki ye khamosh
tanhai,
Agar yun hi rahin aashiq tera shayar na
ho jaye.
Mein khud bhi ehtiyatan us pari-ru se
nahi milta,Wohi jo dushman-e jani hai wo
dilbar na ho jaye.
Mein ghar ki bekasi ko chhod kar sehra
mein aaya hun,
Magar lagta hai ye sehra hi mera ghar na
ho jaye.
Ye jambhoori siyasat hai, yahan andaza
mushkil hai,
Jo kal tak raahzan tha, wo hi kal rahbar
na ho jaye.
Hai jazb-e jan-supari aajkal aur sar mein
sauda hai,
Shahidon mein kahin shamil tera na ho
jaye.
No comments:
Post a Comment