widget

Thursday, 2 January 2014

Jabse ye suna hai logon ko


Jabse ye suna hai logon ko, nazron se 
wo mara karte hain,
Ye qasd hai ham bhi dekhenge, kya hal 
hamara karte hain.

Aa’ine ke lab to sakit hain, tum apne 
hosh sambhalo miyan,
Ai hazrat-e dil ab mehfil ko, wo jalwa-ara 
karte hain.

Us naz-o-ada ke qurban hain, us husn ke 
ham to shaida hain,
Us mah-pari par dil hi nahin, ham jan bhi 
wara karte hain.

Wo honge koi kamzarf ke jo, mahboob se 
shikwa kar baithe,
Ham log to sachhe aashiq hain, har zulm 
gawara karte hain.

Tera chehra dhoonda karte hain, ham 
subh se le ke sham talak,
Raton ko ham uth kar neendon se, tera 
nam pukara karte hain.

Ham pas rahein ya door kahin, mehfil 
mein rahein ya khalwat mein,
Dildar tumhin ko jana hai, tumko hi 
nihara karte hain.

Is aas pe jite aaye the, ik roz milenge 
tumse magar,
Ab tumse milna jurm hai to, ye jurm 
dobara karte hain.

Shayar ke bayan ko kya samjhein, wo be
dil aur khud-ara jo,
Nazron ki zaban se kehte hain, ghamzon 
se ishara karte hain.

Parde se wo bahar aaye hain, tere nale 
sunkar ai ‘Sagar’,
Ab aage badh kar batla do, kyun sog 
tumhara karte hain.

No comments:

Post a Comment