Jahan pe khatm hui phir se, ham shuru
karte,Jo dastan-e muhabbat ki guftgu
karte.
Hamare jitna kahan koi, tumko chahega
Abas ye umr guzaroge, justju karte.
Bayan-e ghair pe usne yaqin kar to liya,
Vo kash mere raqibon ko, ru-ba-ru karte.
Bahut aziz hai hamko ye apni nakami,
Khudi ko bech ke kya khud ko surkh-ru
karte.
Wo aa ke samne baithe the aj mehfil
mein,Ham unse aur karam ki kya, aarzu
karte.
Junun mein mere gareban ko tar-tar kiya,
Wo chasm-e nam liye baithe hain, ab rafu
karte.
Saba ka shukr hazaran, jo layi ye nikhat,
Zamana guzra hai us gul ki, aarzu karte.
Ajab hai taur-o-tariqa ye bazm-e rindan
ka,Sharab peene se pehle hain sab wazu
karte.
Ragon mein khoon ka qatra bhi ab nahin
baqi,Kahan se ghazlon ki syahi ko ham
lahu karte..
No comments:
Post a Comment