widget

Thursday, 2 January 2014

Tumhare pyar ki khatir ye kar jana hi behtar hai


Tumhare pyar ki khatir ye kar jana hi  
behtar hai. Kaho tum jan dene ki, to mar 
jana hi behtar hai.

Meri nazron se kab koi tujhe ai chand 
dekhega,Mere aaina-e dil mein, utar jana 
hi behtar hai.

Liye ek jazba-e sajda bhatakta hun mein 
aawara,Jhuka kar teri chaukhat par, ye sar 
jana hi behtar hai.

Lisan ul-Asr ka ye qaul ab mujhko samajh 
aaya,Darayen khel mein bachche, to dar
jana hi behtar hai."

Tumhari rast-goyi se kisi ki jan jati ho,
To phir aise kisi sach se, mukar jana hi 
behtar hai.

Kaha walid ne "barkhurdar, gar hon khar 
raste mein,Bacha kar apne daman ko, 
guzar jana hi behtar hai."

Agar hai shauq-e pa-bosi, to in manus 
rahon mein,Tera reza-reza hokar, bikhar 
jana hi behtar hai.

Ba nam-e dosti gar dushman-e jan ghar 
bulate hain,Khilaf-e maslahat ye hai
magar jana hi behtar hai.

Raqibon ne unhein bhi nam se mere 
bulaya hai,Agarche jan ka khatra hai, 
par jana hi behtar hai.

Hua phir yun shahidan-e wafa mein ho 
gaya shamil,Nahin hai sath qismat mein, 
to mar jana hi behtar hai.

Bahut tum kar chuke sehra-nawardi, 
'Agar ab bhi wo apna le, to ghar jana hi 
behtar hai...


No comments:

Post a Comment