widget

Sunday 7 April 2013

Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai




Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi 

hai Bichharnay wala shreek-e-safar to ab 
bhi hai..


Hzaar waqt ne deewar-e-hijr utha di 

magar Khyal-e-yar mera hum safar to ab 
bhi hai..


Magar yeh kaon badalti hui ruton se 

kahay Shajar me saiyah nahi, shajar to 
ab bhi hai..


Muhabten hain muatbar agar to phir ik 

shakhs Muhabton ki tarha muatbar to ab 
bhi hai..


Zuban breedah sahi, khzaan raseedah sahi

Hara bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi 
hai..


Humari darBadri pe na jaiay k humen

Shaur-e-saiyah deewar-o-dar to ab bhi hai..



No comments:

Post a Comment