widget

Thursday 2 January 2014

Har roz tujhko socha har roz tujhko chaha


Har roz tujhko socha, har roz tujhko 
chaha,Har roz aarzu ki, har lamha yun 
nibaha.

Tere haseen rukh se, jab bhi palat ke 
lauti,Apni nazar ko hamne, sau bar phir 
saraha.

Main badhun, ke laut jaun, kuchh soojhta 
nahin hai,Har lehja kash-ma-kash hai, 
har gam pe doraha.

Mera jism-o-rooh hai ghayal, dast-e shifa 
se apne,Kabhi aa ke tu hi rakh de, 
zakhmon pe mere faha.

Yun to bazm mein sabhi hain, deewane 
tere bismil,Magar kaun be-adab hai, 
sar-e aam jo karaha.

Manzil sabhi ki tu hai, raste agar juda 
hain,Zahid hi "hu-o-haq" hai, maston 
ki "hu-o-ha ha".

'Sagar' se hun mein waqif, mein yaqin se 
keh raha hun,Tujhe chah kar phir usne, 
kisi aur ko na chaha.

No comments:

Post a Comment