widget

Thursday 2 January 2014

Mein darta hun ke tumse saamna ab phir na ho jaye


Mein darta hun ke tumse saamna ab phir 
na ho jaye,
Jo dil mein hai mere pinha kahin zahir na 
ho jaye.

Zara si bat par gar yun kaleja moohn ko 
aata hai,Mera dil gham uthane se kahin 
qasir na ho jaye.

Ye hijrat aur ye doori, shab ki ye khamosh 
tanhai,
Agar yun hi rahin aashiq tera shayar na 
ho jaye.

Mein khud bhi ehtiyatan us pari-ru se 
nahi milta,Wohi jo dushman-e jani hai wo 
dilbar na ho jaye.

Mein ghar ki bekasi ko chhod kar sehra 
mein aaya hun,
Magar lagta hai ye sehra hi mera ghar na 
ho jaye.

Ye jambhoori siyasat hai, yahan andaza 
mushkil hai,
Jo kal tak raahzan tha, wo hi kal rahbar 
na ho jaye.

Hai jazb-e jan-supari aajkal aur sar mein 
sauda hai,
Shahidon mein kahin shamil tera na ho
jaye.

No comments:

Post a Comment