widget

Thursday 2 January 2014

Khud mein hum muqayyad the inqilab kya karte


Khud mein hum muqayyad the, inqilab 
kya karte, Jang ye hamari thi, aan-janab 
kya karte.

Sabko chhod kar pehle, mujhko jam deta 
hai,Maiqade mein saqi se, ham hisab kya 
karte.

Sabne kis qadar roka, phir bhi dil laga 
baithe,
Apni hi khataon par, wo itaab kya karte.

Aap ki jafaon ka anjuman mein charcha 
tha,Ghair se mukhatib the, ham khitab 
kya karte.

Aap ne ziya bakhshi, zeest ke andheron 
ko,Zindagi se badh kar ham, intisaab kya 
karte.

Aaina sanwarta hai, jiske samne har din,
Aise jalva-ara ko be-hijab kya karte.

Aap se muhabbat hai, sare zulm sehta 
hun,
Koi sakht-jan hota, to janab kya karte.

Hashr mein muqabil the, phir bhi ham 
rahe sakit,
Ab sawal kar ke unhein, la-jawab kya 
karte.

Na kahin wafa aisi, aur na aisi ulfat hai,
jab nahin koi tum sa, intikhab kya karte.

Jiska nam lene se 'nur' jagmagata hai,
Uske samne 'Sagar' aaftab kya karte.


No comments:

Post a Comment