widget

Thursday 2 January 2014

Na-ummeedi se dil gar bujha chahiye


Na-ummeedi se dil gar bujha chahiye,
Tere honthon pe harf-e dua chahiye.

Ibn-e Maiyam ki tarha jilaye koi,
Mojiza chahiye, mojiza chahiye.

Ham rahe sochte, kuchh bhi keh na sake,
Darasal usne poocha tha "kya chahiye".

Dil to bachcha hai meri ye sunta nahi,
Jo ise chahiye, barmala chahiye.

Doston ki inayat bahut dekh li,
Ab kahin door ja ke raha chahiye.

Wapsi meri ab bhi hai mumkin magar,
Ek mubham si dil se sada chahiye.

Tum hi tum shayari mein numayan rahe,
Apni halat pe kuchh ab kaha chahiye.

Ai meherban tera qaul wajib, magar,
Jo mein kehta hun wo bhi suna chahiye.

Lakh aasi hai ' Khudaya ise,
Tera rahm-o-karam be-baha chahiye.

No comments:

Post a Comment