widget

Saturday 19 July 2014

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere


Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na 
Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost 
Puraanay Mere..?

TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha 
Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane 
Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri 
Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate 
Hain Fasaane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se 
Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-
Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke 
Bagair

Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere Kash TU Bhi Meri Aavaaz 
Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa 
Ne Mere

Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai 
Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi 
Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda 
Ne Mere

TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou 
Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere

Charagar Tou Bohat Hain Magar 
Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane 
Mere....


No comments:

Post a Comment