widget

Friday 18 July 2014

Sath shokhi k kuch Hijaab b hai


Sath shokhi k kuch Hijaab b hai.
Is ada ka kahin jawab b hai??
.
Reham kr mere haal per Waaiz.
K Umangen b hain, shabab b hai.
.
Maar dala hai is do rangi ny.
Mehrbani b hai, ataab b hai.
.
Sun li kefiyyat e jinaan Waaiz.
Dekh is qism ki sharab b hai.
.
Kya rahega yehi tera aalam?
Sath aalam k inqala b hai.
.
Ishq baazi ko hai saliqa shart.
Ye gunah b hai, ye sawab b hai.
.
Is jafa pr wafa karun kab tak.
Admiyat ka kuch hissab b hai.
.
So Jahanum hai ik teri ranjish.
Is se barh kr koi azaab b hai.
.
Daagh ka kuch pta nhi chalta.
Kahin wo khanumaN kharab b hai??


No comments:

Post a Comment