Bheegi January Phir Laut Aai
Hay
Wohi Galiyan, Wohi Koochay,
Wohi Sardi ka Mausam Hay
Usi Andaz say Apna
Nizam-e-Zeest Barham Hay
Hai Hussn-e- Ittifaq Aisa k
Bikhri Chandni bhi Hay
Wohi har Simt Virani,
Wohi Tishnagi Si Hay
Wohi hay Bheer Sochon ki,
Wohi Tanhaiyan Phir Say
Musafir Ajnabi Aur
Dasht ki Pinhaiyan Phir Say
Mujhay sab Hay Yaad
Kuch Saal Pehlay ka Yeh Qissa
Hay
Wohi Lamha to Veeranay ka
Ik Abaad Hissa Hay
Kisi Nay Raat ki Tanhai Main
Sargoshiyan ki Thien
Kisi ki Narm Guftari Nay Dil
ko Loriyan di thien
Kisi Nay Meri Tanhai ka
Sara Qarb Baanta Tha
Kisi Nay Raat ki Chunri Mai
Roshan Chaand Tanka Tha
Wo Jiskay Honay say
Zindagi Naghma Sarai Hay
Usay Kehna Bheegi January
Phir Say Laut Aai Hay.........!
No comments:
Post a Comment