widget

Friday 30 May 2014

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain


Abhi kuch aur karishmay ghazal ke 
dekhte hain,Faraz ab zara lehja badal 
ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir 
bhi ay jaan-e-safar,

Kuch aur door zara saath chal ke 
dekhte hain,Rah-e-wafa mein 
hareef-e-kharaam koi to ho,

Sau apne aap se aagay nikal ke 
dekhte hain,Tu samnay hai tau phir 
kyon yaqeen nahi aata,

Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke 
dekhte hain,Yeh kaun log hain 
moujood teri mehfil mein,

Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall 
ke dekhte hain,Yeh qurb kya hai ke 
yakjaan huye na door huye,

Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke 
dekhte hain,Na tujh ko maat huyi hai 
na mujh ko maat huyi,

Sau ab ke dono hi chaalen badal ke 
dekhte hain,Yeh kaun hai sar-e-saahil 
ke doobnay walay,Samundaroon ki 
taho’n se ucchal ke dekhte hain,

Abhi talak tau na kundan huye na 
raakh huye,Hum apni aag mein har 
roz jal ke dekhte hain,

Bohat dinon se nahi hai kuch us ki 
kher khabar,Chalo Faraz kuu-e-yaar 
chal ke dekhte hain… 


No comments:

Post a Comment