widget

Saturday 10 May 2014

Nigahon k Tasadum se ajab takraar karta hai


Nigahon k Tasadum se ajab 
takraar karta hai... 
Yaqin kaamil nahe Lekin 
gumaan hai Pyar karta hai... 

Laraz jati hun Mein ye soch k 
kafir na ho jaon... 
Dil Us ki pooja pe bara israar 
karta hai.. 

Usay maloom hai shayad mera 
Dil hai nishanay par... 
Labon se kuch nahi kehta nazar 
se waar karta hai.. 

Mein Us se pochti hun khuwab 
mein, Mujh se Mohabbat hai.. 
Phir aankhain khol deti hun wo 
jab izhaar krta hai.. 

Poet by. . . 
Parveen Shakir



No comments:

Post a Comment