widget

Saturday, 5 July 2014

Ishq K Ilaqay Mein, Hukm-e-Yar Chlta Hai


Ishq K Ilaqay Mein,
Hukm-e-Yar Chlta Hai,
Zaabtay Nahin Chaltay,

Husn Ki Adalat Mein,
Aajzi To Chalti Hai,
Martabay Nahin Chaltay,

Pyar K Rishton Ki,
Parwarish Zaroori Hai,
Silsalay Ta'alluq K Khud Se 
Ban To Jatay Hain,

Lekin In Shagoofon Ko
Tootnay, Bikharnay Se Rokna 
Bhi Parta Hai,

Chahaton Ki Matti Ko,
Aarzu K Poday Ko,
Seenchna Bhi Parta Hai,
Ranjishon Ki Baaton Ko,
Bhoolna Bhi Parta Hai,

Kyon K! Ishq K Ilaqay Mein
Hukm-e-Yaar Chalta Hai,
ZAABTAY NAHI CHALTAY...!!!