widget

Wednesday 3 September 2014

Taaza hain abhi yaad mein


Taaza hain abhi yaad mein, 
ai saaqi-E-gulfaam
wo aks-e-rukh-e-yaar se lahke 
hue aiyaam

wo phuul si khilti huii deedaar 
ki saa'at vo dil sa dhadak'ta hua 
ummid ka hangaam

ummid ki lo jaaga gham-E-dil 
ka nasibaa lo shauq ki tarsi hui 
shab ho gayi aakhir

lo duub gaye dard ke be-khwaab 
sitaare ab chamkega be-sabr 
nigaahon ka muqaddar
is baam se niklega tere husn ka khursheed

us kunj se phutegi kiran 
rang-E-hina ki is dar se bahega 
teri raftaar ka simaab

us raah pe phuulegi shafaq teri 
qaba ki Phir dekhein hain wo hijr 
ke tapte  hue din bhi

jab fikr-E-dil-O-jaan mein 
fughaan bhuul gayi hai
har shab vo siyaa bojh ki dil 
baith gaya hai

har subh ki lau teer si seene mein 
lagi hai tanhaai mein kya kya na 
tujhe yaad kiya hai

kya kya na dil-E-zaar ne dhundi 
hain panaahein aankhon se lagaya 
hai kabhi dast-E-saba ko
Daali hain kabhi gardan-E-mehtaab mein baahein

----

Chaha hai isi rang mein laila-E-
watan ko tadpa hai isi taur se dil 
uski lagan mein

dhundi hai yuun hi shauq ne 
aasaa'ish-E-manzil rukhsaar ke 
kham mein, kabhi kaakul ki 
shikan mein

us jaan-E-jahan ko bhi yun hi 
qalb-O-nazar ne hans-hans ke 
sada di, kabhi ro ro ke pukara

poore kiye sab harf-E-tamanna 
ke taqaaze har dard ko ujyaala, 
har ek gham ko sanwara

wapas nahin phera koi farmaan 
junuun ka tanha nahin lauti kabhi 
aawaz jaras ki

khairiyat-E-jaan, raahat-E-tan, 
sehhat-E-daaman
sab bhuul gayin maslahatein 
ahl-E-hawas ki

is raah mein jo sab pe guzarti hai 
wo guzri tanha pas-E-zindaan, 
kabhi ruswa sar-E-baazaar

garze hain bahut sheikh sar-E-
goshaa-E-minbar karke hain 
bahut ahl-E-hukm bar sar-E-
darbaar

chhoda nahin ghairon ne koi 
naavak-E-dushnaam
chhuti nahin apnon se koi 
tarz-E-malaamat
is ishq na us ishq se naadim hai 
magar dil

har daagh hai is dil mein ba-juz 
daagh-e-nadaamat...



No comments:

Post a Comment