widget

Tuesday 30 September 2014

Pukaarti hai Khaamoshi meri fugaan ki tarah


Pukaarti hai Khaamoshi 
meri fugaan ki tarah
nigaahein kahti hain sab 
raaz-E-dil zubaan ki tarah

Jalaa ke daag-E-muhabbat 
ne dil ko Khaak kiya
bahaar aai mere baag mein 
Khizaan ki tarah

Talaash-E-yaar mein 
chhodi na sar-zameen koi
hamaare paanv mein chakkar 
hain aasmaan ki tarah

Adaa-E-matlab-E-dil hamse 
siikh jaaye koi
unhein suna hi diya haal 
daastaan ki tarah....


No comments:

Post a Comment