widget

Tuesday 30 September 2014

Dil gaya tum ne liya ham kya karein


Dil gaya tum ne liya ham 
kya karein
jaanewali cheez ka Gham 
kya karein

Puure honge apne armaan 
kis tarah
shauq behad waqt hai kam 
kya karein

Bakhsh dein pyaar ki 
gustaakhiyaan
dil hi qabuu mein nahin, 
ham kya karein

Tund khuu hai kab sune 
vo dil ki baat
aur bhi barham ko barham 
kya karein

Ek saagar par hai apni 
zindagi
rafta rafta is se bhi kam 
kya karein

Kar chuke sab apni-apni 
hikmatein
dam nikalta hai mere 
hamadam kya karen

Dil ne seekha shevaa-E-
begaanagi
aise naamuharim ko 
muharim kya karein

Mamla hai aaj husn-O-
ishq kaa
dekhiye vo kya karein ham 
kya karein

Kah rahe hain ahal-E-
sifaarish mujhse "Daag"
teri qismat hai buri ham 
kyaa karein.



No comments:

Post a Comment