widget

Sunday 8 December 2013

December ki thitharti aik shab


December ki thitharti aik shab woh mere 
paas aai mujhe kehne lagi ke 
Aaj sab kuch chor aai hoon tumhare piyar 
mein saare hi rishte tor aai hoon

woh ghabrai hui, tooti hui, bikhri hui larki
mujhe kehne lagi ke utho Yahan se door 
chaltay hain bahot hi door chaltay hain

Tumharay bin kissi soorat mujhay zinda 
nahi rehna mujhay zinda nahi rehna, 
mujhay zinda nahin rehna

woh zaar-o-zaar ro di aur phir mujh mein 
simat aai woh apne aansu se bas  ''''  yahi 
faryad karti thi

chalo jaldi karo iss shehar se hum bhag 
chaltay hain bahot hi door chaltay hian
uss aik saal mein main ne baar haa socha
k us k hukam par us k kahe par sar jhuka 
doon

yeh socha baar haa us ko bhaga kar door le jaoon woh ik tooti hui larki woh mere piyar 
mein mehki hui masoom si larki
mere seenay se lag kar der tak roti rahi

uss shab woh iss ehsaas mein gum thi keh manzil mil gai uss ko mere khamosh 
chehray ki taraf woh dekhti bas dekhti jaati

uss ik sa'at mere andar kai toofaan barpa 
thay na-janay kis tarah main ne  kaha uss se
keh bas ab laut jao laut jana phir nahi aana

“khuda ra phir nahi aana”meri yeh baat 
sun kar uss nay ik be yaqeeni se mujhe 
dekha woh larki shidat-e-gham se tarap 
uthi sulag uthi

sakoot'E marg kay aalam mein woh 
darwazay ki janib aik dam lapki woh larki 
phir nahi aai woh ik bikhri hui larki
kabhi wapis nahi aai

Bahot din baad kal dekha ussay ik ajnabi 
ke sath gaari mein
aur us ki gaud mein piyara sa ik bacha
humakta tha

woh larki kis qadar khush thi bahot chaha 
tha keh main uss ko bhaga kar door le jaoon
bahot chaha december ki thitharti raat laut 
aye,,,,,

No comments:

Post a Comment