widget

Wednesday 11 December 2013

Raston ki Marzi hai Be-Zameen Logon ko

                     

Be-Qarar ankhon ko Bad-Naseeb 
Qadmon ko 

Jis Taraf bhi le jaye Raston ki Marzi hai 
Be Nishan Jazeeron per Bad-Gumaan 
Shehron mai Be-Zuban Musafir ko Jis 
taraf bhi Bhatka dain  Raston ki Marzi hai 

Rok dain ya barhne dain Thaam lain ya 
Girne dain Wasal ki Lakeeron ko Tor dain 
ya Milne dain Raston ki Marzi hai 

Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain  Raston 
ki Marzi hai..../

No comments:

Post a Comment