widget

Thursday 1 May 2014

Guzar rahay hain jo mujh par azaab


Guzar rahay hain jo mujh 
par azaab us kay hain
keh meri chashm e tamana 
men khawab us kay hain

mein zakhm zakhm hoon 
mera naseeb hain kaantay
woh rang rang hai saaray 
gulaab us kay hain

kitaab maeri,qalam mera,
soch bhi meri
magar jo likhay mein nay 
woh baab us kay hain

nhi hai meray muqaddar 
ka aik bhi taara
yeh kehakashan yeh maah'o 
aaftab us kay hain

visaal o hijr ka mausom usi 
ka mausom hai
sawaal meray hain shayad 
jawaab us kay hain

woh meri zaat ka aik 
mustanid hawala hai
kitaab e ishq kay saaray 
nisaab us kay hain

mein hairaton kay samandar 
men gharq hoon ejaz
tamaam aks sar e satha e aab 
us kay hain...

No comments:

Post a Comment